iklan banner

Study Padhai Kaise Kare - Padhai Karne Ke Tips Aur Tarike पढाई कैसे करे

Dosto aaj ke iss article mein hum aapko batayenge ki study padhai kaise kare aur padhai karne ke tips hindi me पढाई कैसे करे waise toh har student ya teacher ya ek learner janta hai ki padhai kaise ki jati hai phir bhi use sahi tarika nahi mallom hota hai aur isi wajah se woh jo kuch bhi padhata hai bhool jata hai ya jyada time tak yaad nahi rakh pata hai. Ab Jane study kaise kare hindi me.
Study Padhai Kaise Kare - Padhai Karne Ke Tips Aur Tarike पढाई कैसे करे

Kya aapko padhai mein dhyaan lagane mein pareshaani hoti hai ? ya aapka padhai mein mann nahi lagta hai toh padiye pura article padhai kaise kare ya study kaise kare ya phir aapko padne ka time nahi milta hai agar aapke dimak mein bhi aise questions hai toh chinta mat kijiye kyoki aise Prashn achhe se achhe student ke andar bhi aate hai lekin woh ek effective study plan ki madad se apne target ko paa leta hai. Aur aise he effective plan ya padhai ke tarike aur tips hum aapko batayenge jiski help se aap bhi achhe se padhai kar sakte hai isliye aapko humara ye article dhyaan se pura padna chahiye aur usko apni life mein follow karna chahiye.


(aap pad rahe hai study kaise kare ya padhai karne ke tips aur tarike hindi me or padhai kaise kare ya study ke karne ke best tips aur tarike hindi me myhelplive par.)

Padhai Kaise Kare - Jane Study Karne Ke Tarike Hindi Me

Dosto kcuh simple si tips aur jankari pakar aap ek perfect study plan bana sakte hai jo aapko successful bana dega. Jaise study ke liye comfortable maahol ki jarurat hoti hai, Aapko apna dhyaan uss topic par lagana chahiye jise aapko taiyar karna hai, Ek Regular Time Table Banaye jo Day By Day follow ho sake, smart study ke liye smart tariko ka istemaal kare (Technology , Internet etc.) aur Aaj ka kaam aaj kare aur Jo bhi problems aaye use apne dosto aur teachers se jarur discuss kare etc.


1. Padhai Ke Liye Maahol Taiyar Kare

  • Sabse pehle aapko padhai ke anukool jagah choose karni chahiye ki aapko kahan padna hai uske baad uss room se aisi cheeje hata de jo aapka dhyaan bantati ho jaise tv, paltu janwar (pets) etc.
  • Room ki Light apne hisab se lagaye jo aapko padte waqt aapki aankhon mein chubhe na.
  • Ab apne baithane ki jagah ko aaram dayak banaye jisse aapko padte waqt kisi tarah ka disturbance na ho.
  • Koshish kare ki aap chair par baithe aur apni books apne samne rakhi table par rakhe kyoki agar aap bistar ya gadde par padte hai toh isse aapko nind jaldi aayegi aur aap apna kaam time par nahi kar payenge.
  • Padte time Gardan (Neck) sidhi rakhe aur aankho par jyada tanav na de kyoki dard ya tension bhi aapki padhai mein rukawat daal sakti hai.
  • Padhai ke liye sabhi jaruri cheeje notebooks, books, pen, highlighter, pencil, chart, syllabus apne pass rakhe kyoki agar aap baar-baar kisi dusari jagah jaate hai toh isse aapka mind divert hota hai.
  • Actor Banna Hai Toh Lambai Kaise Badhaye
  • Model Banne Ke Liye Jane Wajan Kaise Ghataye
  • Bollywood Me Jana Hai Toh Six Pack Kaise Banaye
  • Halke Fulke snakes apne pass rakhe aap chai ya coffee bhi le sakte hai kyoki chai se nind nahi aati hai aur aapka mann bhi study mein lagega. (aap pad rahe hai study kaise kare ya padhai karne ke tips aur tarike hindi me or padhai kaise kare ya study ke karne ke best tips aur tarike hindi me myhelplive par.)

Apna Dhyaan Focus Karna Sikhe

  • Dosto ab waqt hai apni padhai start karne ke liye agar aapko din mein padna achha nahi lagta hai toh aap raat ko padhai kar sakte hai kyoki raat ke time mein shaant vatavaran hone ke naate padhai achhe se hoti hai.
  • Ab kam se kam 30 minutes se 1 ghante tak padna sikhe aur har 30 minutes se 1 ghante ke bich 5 - 10 minutes ka rest jarur le aisa karne par aap bor nahi honge.
  • Ek time par ek he topic par focus kare. Aisa na kare ki 5 minutes physics pad liya aur 5 minutes chemistry pad li kyoki aisa karne par aap na toh physics taiyar kar payenge aur na he chemistry.
  • Dosto ek subject ko jyada der tak na pade kyoki ek subject lagataar padne se boring feel karne lagoge isliye har 30 se 60 minutes mein apna topic change kare.
  • Padte waqt ghar ya dosto ke baare mein na soche. Aisi kisi baat ko yaad na kare jisse aapka time waste ho.

Subject Ko Yaad Kaise Kare - Topic Taiyar Kare

  • Maan lijiye aapne physics ke motion topic ko pura pad liya uske baad aap turant kisi dusare topic ki na pade aisa karne par aapne jo topic pehle pada woh aap bhul jayenge isliye achha hoge ki aap motion topic se related question answer likh kar dekhe kyoki likhne se topic confirm ho jaata hai aur aap use jaldi nahi bhulate hai.
  • Agar aapko maths mein koi sawaal nahi aata hai toh aap uss sawaal ko highlight kare aur agle din apne teacher se discuss kare. Agar aap discuss nahi karenge toh maths aapke liye hamesha hard rahegi.
  • Maths ko achhe se taiyar karne ke liye baar baar unn sawaalon ka revision kare jisse aapke liye maths simple ho jayegi.
  • Dosto maths jaise subject humesha practice se he aati hai.
  • English aur Hindi ke question-answers 2-3 baar padkar taiyar kar sakte hai. Aap aise subject regular pade kyoki ye aise subject hai jo kuch samajhkar kuch ratta markar taiyar kiye ja sakte hai.
  • Physics aur Chemistry jaise subjects ko ratane ki koshish na kare kyoki ye topic samajh kar he taiyar kar sakte hai.
  • Jo chapter aapko yaad nahi ho rahe hai unke short notes aur chart banakar apne room mein lagaye aur regular unko dekhe jisse aapke najar mein rahenge aur yaad ho jayenge.(aap pad rahe hai study kaise kare ya padhai karne ke tips aur tarike hindi me or padhai kaise kare ya study ke karne ke best tips aur tarike hindi me myhelplive par.)


Padne, Puchhe Aur Discuss Kare

  • Dosto jyada se jyada padna sikhe phir chahen newspaper he q na pade kyoki aisa karne se aapka mann padne mein lagne lagega.
  • Aapne jo bhi topic taiyar kiye hai unse related questions apne friends aur teachers se puche aisa karne par aapka topic revised ho jaye aur aapke confusions bhi door ho jayenge.
  • Friends aur Family members or Teachers se har topic par discuss karna sikhe isse aapki hich kichahat door hogi aur sath he aapki confusions bhi door hongi.

Regular Time Table Banaye Aur Apne Sabhi Kaam Ke liye Time Fix Kare

  • Ek time table aapko apni din charya ki banani chahiye. Usme ye decide kare ki kitne time par aapko kya karna hai.
  • Jab aapki aisi time table ban jaye tab ye dekhe ki aapke pass faltu kitna time bachata hai. Maan lijiye aap 24 Ghanto mein se 20 Ghante saare kaam karate hai jaise nahana. dhone, khana, peena aur school jana etc. Ab aapke pass jo 4 ghante bache hai unme apna padhai ka kaam karo aur yaad karo.
  • Agar aapke pass padne ke liye jyada matter hai toh aap 4 Ghante ke liye aap ek alag se Time Table bana le usme ye fix kare ki aapko kitne ghante kon sa subject padna hai.
  • Iss tarah se dosto aap time table ki madad se apne kaam ko continue rakh sakte hai aur haan apni time table ko regular follow kare.

Smart Tarike Se Study Kare - Internet Ka Use Kare

  • Dosto agar aapko apne subject ya topic se related koi pareshani hai aur raat ka time hai ya phir uss time aap kisi se discuss nahi kar sakte toh dosto aap apni samasya se related Google par search kare uske baad google aapko uss topic se related har samadhan de dega.
  • Iss time padhai ke liye YouTube bhi ek achha platform ban raha hai kyoki isme aapki direct class ke shots aur coaching centre ki recordings mil jayengi bas der hai aapko apne topic search karne ki.
Agar aapko humara ye article " study kaise kare ya padhai kaise kare or padhai karne ke tips aur tarike hindi me " achha laga hai toh please humeComment ke madhyam se bataye. Aur agar aapko koi baat samajh nahi aa rahi hai toh jarur Commnet kare.


Toh Dosto yahi woh tips aur tarike hai jinki madad se aap achhi tarah se padhai kar sakte hai. Humara ek aur article aayega jisme hum batayenge ki exam ki taiyari kaise kare. Ye Article hum aapko december ki end mein batayenge. 
Tags : how to study in hindi, padhai me safalta ke upay, padhai kaise kare, study kaise kare, yaad kaise kare tarika in hindi, how to study and remember, study karne ke tips aur tarike hindi me, study kaise kare in hindi, padhai karne ke tips aur tarike hindi me, how to develop effective and efficient study skills, yaad karne ke tips in hindi, study karne ke tarike in hindi

Humara Article Padne Ke Liye Aapka Dhanyawaad !
!! Bharat Mata Ki Jay !!
Previous
Next Post »

4 comments

Click here for comments
Jaik Chauhan
admin
December 3, 2020 at 3:44 PM ×

पढ़ाई के बारे मे आपने बहुत अच्छी बाते बताई हैं जिससे पढ़ाई करने बहुत ही help मिलेंगी, लेकिन कुछ पॉइंट और भी हैं जिससे पढ़ाई करने मे help मिल सकती हैं आप चाहे तो इस देख सकतें हैं https://www.openhindi.com/padhai-kaise-kare/

Reply
avatar
Jaik Chauhan
admin
December 3, 2020 at 3:45 PM ×

पढ़ाई के बारे मे आपने बहुत अच्छी बाते बताई हैं जिससे पढ़ाई करने बहुत ही help मिलेंगी, लेकिन कुछ पॉइंट और भी हैं जिससे पढ़ाई करने मे help मिल सकती हैं आप चाहे तो इस देख सकतें हैं https://www.openhindi.com/padhai-kaise-kare/

Reply
avatar
Anonymous
admin
August 6, 2022 at 10:53 PM ×

Till now I had not seen this type of article from internet. Thanks for sharing this type of article how to study online in hindi

Reply
avatar