iklan banner

English Kaise Sikhe Agreji Bolna Sikhe - इंग्लिश कैसे सीखे अंग्रेजी बोले (Free English Speaking Course)

Dosto Aaj ke iss article mein hum aapko batate hai ki english kaise sikhe agreji bolna sikhe - इंग्लिश कैसे सीखे अंग्रेजी बोले (free english speaking coarse) waise toh english bolna koi kathin kaam nahi hai. Lekin jab hume english aati nahi hai aur humare samne koi aisa vanda/vandi hoti hai jo english bol rahi hoti hai tab uske hum apni najaro mein gir jate hai phir sochate kaash mai bhi angreji bol paata. Aap pad rahe hai angreji kaise sikhe english bolna sikhe, english kaise improve kare myhelplive par.

English Kaise Sikhe Agreji Bolna Sikhe - इंग्लिश कैसे सीखे अंग्रेजी बोले (Free English Speaking Course)

Friends aaj ke time mein english har kisi ko aani chahiye kyoki life mein kabhi na kabhi aapko iski jarurat jarur pad sakti hai. Agar aapko angreji bolna aata hai toh aapko naukari jaldi mil sakti hai aur achhe standard par. Agar aap english bol lete hai toh log aapko professional luxury ghar ka samajhate hai jisse aapki image aur bad jaati hai.
(aap pad rahe hai online english kaise sikhe agreji bolna sikhe - इंग्लिश कैसे सीखे अंग्रेजी बोले free english speaking coarse, 30 din me english sikhe pdf, english bolna sikhe, english kaise improve kare myhelplive par.)


Aapne aksar aise advertisement dekhe honge jaise 30 Dino Me English Sikhe, 72 Ghanto Me Angreji Bolna Sikhe ya Fluent English Speaking Coarse or Aaye Hindi Bolte Huye JAye English Bolte Huye etc. ye sab ads sirf dekhane aur sunne mein achhe lagte hai. Aise Institute ya coaching centre mein admission lene ke baad koi Guarantee nahi ki aap achhi aur full confident english bol payenge.
Inn institue mein aapse hajaro rupay basoole jaate hai aur uske baad bhi aap fluent angreji nahi bol paate hai lekin dosto hum hai toh kya gum hai. Hum hamesha aapke liye aise article laate hai jo aapke kaam aaye aur woh bhi bilkul free. Bas Pura article padiye aur jaane english kaise sikhe.

English Kaise Sikhe - Angreji Kaise Bole

Chaliye dosto ab baat karte hai ki english kaise sikhe friends angreji sikhana aur bolna na jyada simple hai aur na jyada hard...bas aapko thodi si mehnat karni hogi.  Mehnat ka matlab ye nahi ki aapko khet mein hal chalana padega...Bas humare dwara bataye gaye tips ko step by step follow karna hoga. Dosto humari ye tips aur jankri Internet se Specially kaafi research ke baad publish ki gayi hai isliye dhyaan se pura article pade.
(aap pad rahe hai online english kaise sikhe agreji bolna sikhe - इंग्लिश कैसे सीखे अंग्रेजी बोले free english speaking coarse, 30 din me english sikhe pdf, english bolna sikhe, english kaise improve kare myhelplive par.)


Angreji Bolne Ke Kuch Tips Hindi Me

  • Darna Chhod De : Sabse pehle darna chhod de kyoki agar aap yahi sochate rahe ki "Arre mujhe english nahi aati aur ye bahut hard hoti hai, Mai ise nahi sikh sakta" toh aap angreji kabhi nahi sikh sakte isliye aise vichar dimak se nikal de.
  • TV Dekh Kar Angreji Sikhe : Aaj ke time mein har ghar mein tv hai aur ye ek achha tarika hai english sikhane ka. Isliye yv par English New-Channels dekhe, English Movies Dekhe (Agar English Subtitle Available Hai Toh Uska Use Kare), English Songs Sune, English Cartoon Dekhe kyoki cartoon ki angreji thodi slow hoti hai aur jaldi samajh mein aa jaati hai.
  • English News Papers Pade : Kuch logo ke ghar par tv nahi hoti hai ya phir unhe english ko sunne (Tv par bolte huye log bahut jaldi bolte hai jo samajh nahi aati hai.) mein pareshani hoti hai aur aise log English Newpaper ko pad kar english speaking sikh sakte hai. Dusari baat Newspaper se Vocabulary (English Shabd) bhi badati hai.
  • English Word Jyada Se Jyada Taiyar Kare : Agar aapko flent english bolni hai aur aap chahate hai ki aapko har kisi cheej ka word aaye toh iske liye aapko jyada se jyada English Word Dictionary aur English Books ke words ko yaad karna chahiye.

English Speaking Ke Liye Environment Taiyar Kare

Dosto aapne upar jana ki english taiyar kaise kare ab hum janege ki angreji kaise bole. Iske liye dosto sabse jaruri hai ki aapko english speaking ke liye jaruri Vatavaran create karna padega.
Aap apne ghar par jyada se jyada Angreji ke words aur sentences ka istemaal kare. Apne dosto ke saath English mein he baat kare aisa karne par aapke andar ki hich-kichahat door hogi.

Hindi Ka Prayog Bilkul Band Kar De

Dosto jab aapne than liya ki aap english bol kar he rahenge toh phir aapko hindi bolna kam kar dena chahiye aur jyada se jyada angreji ka istemaal karna chahiye aisa karne par aap jyada se jyada English sikh jayege.

Mirror Ke Sath English Speaking Kare

Kuch log duraso ke sath angreji bolne mein darte hai ya phir unka confidence down hota hai toh aise log sabse pehle apne ghar ke kisi mirror ke samne jakar...english mein baat kare isse apka confidence badega aur dusaro ke samne aap fluent english bol payenge.

Grammar Ke Upar Jyada Dhyaan Na De

Dosto ye sachchai hai ki jab aap achhi angreji bolne lagenge tab apne aap aapki grammar mistakes door ho jayengi aur correct conversation karne legenge Isliye starting mein grammar par jyada dhyaan na de aur aapko jo bhi sentence bolna ho bole kyoki speaking ek dum kisi ko nahi aati ye dheere dheere improve hoti hai.

Best Tarika English Improve Karne Ka

  • 1. Aap Social Media par foreign country ke log add kar le aur unse english mein baat kare kyoki woh aapse angreji mein chat karenge aur aapko uska jawaab toh english mein he dena padega.
  • 2. Aap kisi bhi company ke customer care ka toll free no. (1800......wala ya 198) lagaye aur english mode mein jakar baat kare phir chahen aapke pass problem ho ya na ho. Bewajah problem create karo call par iss tarah se aapko angreji achhi ho sakti hai.


Dosto ye the kuch khash tips jiski madad se aap English jarur sikh sakte hai aur sath he Angreji Bol Sakte hai.
Friends aapko humara ye article " english kaise sikhe agreji bolna sikhe - इंग्लिश कैसे सीखे अंग्रेजी बोले (free english speaking coarse) " kaise laga. Aap hume Comment mein jarur bataye agar iss topic se judi koi problem ho toh Comment jarur kare.

Tag : english bolna sikhe download, english kaise sikhe, 30 din me english sikhe pdf, angreji kaise sikhe, english bolna sikhe book, english bolna sikhe video, angreji bolna sikhe, english sikhe app download, english kaise improve kare, english kaise bolu, english kaise sikhe online, english speaking course hindi, english speaking in hindi book, english speaking in hindi pdf, english speaking tips and tricks in hindi, spoken english tips in hindi pdf.

Humara Article Padne Ke Liye Aapka Dhanyawaad !
!! Bharat Mata Ki Jay !!
Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
sara
admin
March 9, 2017 at 9:20 PM ×

The core of English vocabulary is not hard for learning Only be practical to understand the whole system

english prepositions

Congrats bro sara you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar