iklan banner

Blogger Template Ko ZIP File se XML File Me Kaise Change Kare

Dosto aaj hum aapko batate hai ki blog Template ki Zip File ko Xml File me kaise badle. Bahut he asaan tarike se janege  Zip File ko Xml File me kaise change karte hai.
How To Convert Zip File To Xml File

Hum apne blog ko alag look dene ki koshish karte hain aur iske liye hum net se SEO and Mobile Friendly Template Download karte hain lekin ye Template .Zip File mein hoti hai aur hume blogger mein upload karne ke liye .Xml mein convert karne ki jarurat hoti hai kyoki blogger .Xml file he support karta hai.
Chaliye ab hum batate hain ki zip file ko xml file mein kaise badle.

Zip file ko Xml file mein badalane ke liye hume Winrar Software ki jarurat hoti hai aur aap apne Computer mein Winrar Software ki Internet Se Download kar sakte hain ya aapke paas pehle se hai toh use Install kar le.

WinRar Software Se Zip File Ko Xml File Me Kaise Change Kare

Software install karne ke baad ap apni uss template ki zip file ko open karo jisko aap xml mein convert karna chahate hai.

Winrar Se Zip  File Ko Xml Me Change Kare

Open karne ke baad Extract To par click kare.
Ab ek Pop Up window open hogi.

Set Winrar Settings

  • 1. Extract File ka option select kare.
  • 2. Rename automatically ka option select kare.
  • 3. Ok par click kare.

Jab aap OK par click karege tab ek naya Pop Up Window open hogi usme aap dekhege ki aapki file convert ho rahi hai.
Ab phir ek nayi window open hogi.

Zip To Xml File

Ab Winrar ke Folder ko Open kare jisme xml file hogi aapke template ki.

Open Folder and Select Xml File

Ab aap samne aapke template ki xml file hogi isse aap blogger mein use kar sakte ho.

Check Folder For Xml File

Ab aapne jaha apni zip file ko rakha hai wahin par ek folder hoga jisme aapke template ki xml file hogi. aap isse apne blog mein upload kar sakte ho.

MyHelpLive Tips: Aap apni zip file ko direct bhi convert kar sakte hai iske liye aapko uss file par mouse ki left button click karna hoga. Ab Extract Files par click kare uske baad Extract and Update File select kare aur OK kare. Ab aapki Xml File ready hai.

Dosto agar aapko ye trick achhi lagi toh please apne friends se share kare. Agar koi problem ho toh comment jarur kare.




Previous
Next Post »