iklan banner

Website (Blog) Domain Ko Bina www Ke Kaise Set Kare

Dosto aaj hum aapko ye batate hain ki Blog Website Domain ko bina www. ke kaise set karte hai. aaj aap iss post mein janege ki Blog ko bina www. ke kaise set kare.
Aaj iss fast jamane mein har koi chahata hai ki kam se kam work kare aur jyada se jyada tej kare. Log uss site ya blog ko jyada pasand karte hai jo direct open hoti hai bina www. ke (exmp. ke liye- facebook.com ko jyada pasand karte hai or www.facebook.com ko kam)
Domain Bina www Ke Kaise Set Kare

Dosto Ab hum aapko sidhe Topic par le chalte hain. Agar aap aap Blogger.com ke sub domain yani ki yourname.Blogspot.com ko use kar rahe hain toh aap aasani se www. ko hata sakte hain.

Sabse pehle aap Blogger.com par jaaye.
Uske baad apni Email ID log in kare.

Dashboard >> Setting >> Basic

Bina www Ke Redirect Kare

#Step 1:-
Ab aap apne blog ke Dashboard mein jaaye.
  • 1. Settings par click kare.
  • 2. Basic par click kare.
  • 3. Redirect par Tick kare.
  • 4. Ab Save kar de.

Dosto ab aapka blog/site bina www. ke set ho gayi hai toh thoda wait kare aur apne blog ko bina www. ke open kare.

Custom Domain Me Error Kyu?

agar aap blogger ka sub domain use nahi kar rahe ho aur koi custom domain (example.com) use kar rahe ho toh abhi aapka domain puri tarah se bina www. ke set nahi hua hai aur uske liye  thodi aur process baki hai lekin upar batayi gayi process bhi set kar le.

Custom Domain Ko Bina www. Ke Kaise Set Kare

Sabse pehle aap uss site par jaye aur apna account login kare jahan se aapne apna domain kharida hai.
Yahan mai aapko Godaddy ka example dunga. Agar aapka account kisi aur site par hai toh aap isi tarah apne domain ko bina www. ke set kar sakte ho.

Sabse pehle Godaddy.com ki site par jaye aur apna account login kare.


Domain Ke DNS Zone Me Jaaye

#Step 2:-
  • 1. DNS Zone File par Click kare.
  • 2. Add Record par click kare.
Ab ek Pop Up window open hogi.

IP Address Daale

  • 1. Sabse pehle A Host select kare.
  • 2. Host mein @ daale.
  • Points To mein aapko Google IP daalna hai.
Aapko chaar baar IP daalna hai ek baar mein ek IP. Ek IP daalkar ADD ANOTHER par click karna hai phir dusari IP daalna hai...aisa chaaron IP ko daalo.

216.239.32.21
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21

Inn Chaaro IP ko daalne ke baad Finish Par click kare.

Save Changes Me Click Karna Hai


Sabse pehle jo red color mein Save Changes warning aa rahi hai uss par click kar de.
Ab ek baar A Host ke section mein jakar chaaro IP ko check kar le taaki koi mistake naa hui ho.

Ab apni site ko  bina www. ke open karke dekho agar open ho toh accha hai aur nahi ho rahi hai matlab error aa raha hai to thoda wait karo IP set hone tak aapki site thik ho jayegi.
Agar phir bhi koi problem aa rahi hai toh comment kare.

Aisi aur post ko padne ke liye humari site ko subscribe jarur kare.



Previous
Next Post »