MyHelpLive Ki Dastaan
Doston Mai Rishabh aapse iss post ke maadhyam se kuch kehna chahata hu ki ye sirf mere liye ek post nahi hai balki ek jariya hai aapse baat karne ka aur aapko motivate karne ka.
Blogging Ek Safar
Doston blogging mere liye ek safar ki tarah hai or me iss
safar me bilkul naya or akela hu. Lekin kehte hai na ki experience insaan ko
sab kuch sikha deta hai toh bas me yahi soch kar aage bad raha hu. Doston me
aapki help toh karna he chahata hu lekin agar mujhe badale me kuch paise mil
jayege toh sone pe suhaga hoga or blogging yahi hai. mai ye sab dil se bata raha ki kyoki mujhe aur bloggers ki tarah jhooth bolna nahi aata.
Blogging Ki Shuruaat
Mujhe blogging ke bare me tab pata chala jab me ek din
google par kuch search kr rha tha tabhi mujhe ek blog supportmeindia ke bare me
pata chala or ussi time mene Supportmeindia ki 2-4 post ko pada toh woh mujhe
kaafi pasand aayi or mujhe rupay kamane ka jariya bhi mil gaya. Supportmeindia ke
owener Jumedeen Khan se mene call ki or template ke baare pucha lekin me unse
satisfied nahi hua aur me blogging ki har roj post padne laga…ab jaise jaise
time nikal raha tha mujhe kai saare naye blogs ke bare mein pata chala or kuch
aur experience mila. Aur aaj me yahan tak pahunch gaya.
Specially For Beginners & Starters
Doston agar aap bhi meri tarah new hai toh darne ki
jarurat nahi blogging koi difficult chij nahi hai or mera manna hai ki ye bahut
he saral hai bas kuch karne ki lagan or confidence hona chahiye aapme. Newbie hamesha
sochate hai ki who kaha se start Karen toh me unse bas itna kehna chahuga ki
Myhelplive ki daily post paden or apni problem ko comment mein jarur likhen
kyoki agar aap apni problem nahi btaoge toh aap use samjh nahi paoge or hamehsa
ke liye aap wahi galti krte rahoge toh job hi chij na samjh mein aaye who comment mein jarur likhen.
I am Always for ur Help Through MyHelpLive
Pata mere paas abhi utna experience toh nahi hai jitna other
blogger ke pass hai phir bhi aapki help karne ki full koshish karunga or jab
nahi kar paunga toh me blogging ke expert se contact krke aapki help karunga
mere pass india ke kaafi bloggers ke no. hai but me who aapse share nahi kr
sakta kyoki kisi ki privacy share krna galat baat hai…jumedeen khan, rohit
mewada, surndra singh sandeep negi bhaiya…or bhi kaafi saare logo ke no. hai.
Proudy Bloggers Vs Best Bloggers
Iss duniya me kaafi saare bloggers hai lekin kuch proudy
type ke bhi hai me unka naam nahi lunga lekin unke bare mein thoda jarur
bataunga ki unse kabhi bhi koi baat pucho jaise mene ek se pucha ki bhaiya mujhe aapki site ki template kaafi
achhi lagi aapne isse kaise kiya toh bola ki ye mene khud se banaya jab ki same
waise he mene other blog pr bhi dekha to tab se mera kuch logon se vishwahs hat
gaya or me ab sirf apne par he depend rehta hu…Aise log ye samjhate hai ki koi bhi chij kewal wahi kar sakte hai lekin woh ye nahi jaante ki ye duniya kaafi badi hai aur unse bhi better log hai.
Lekin doston kuch log toh kaafi ache bhi jo
hamehsa help krte hai jaise surendra singh, sandeep negi bhaiya rohit bhaiya jumedeen bhaiya or bhi kaafi log hai…
Doston blogging karte time aapko dhairya rakhana hoga popularity
and paisa ek dum se nahi milta or acha response paane ke liye thoda waqt lagata
hai aap bas apna best dete raho…kaamyabi aapke kadmon mein hogi…
ye thi meri
pehli post agar achi lagi toh share jarur karna agra koi problem ho toh comment
jarur Karen please. Thank U...Keep Visting...MyHelpLive
5 comments
Click here for commentsGood poat
ReplyThank u For Reading This Article.
ReplyMind Blowing Rishabh. I am surprised ki aap abhi bilkul naye blogger ho or apne apni baat itne shandar tarike se samne rakhi hai. Aisa lag raha hai kisi professional blogger ne likha hai. Iss article ko padh kar main khud kafi motivate feel kar raha hu. Or apne post me mera naam dalne ke liye shukriya.
May you success in blogging carrier.
ReplyThank u bhaiya bas aap jaise bhaiyon ki prarthana se he me aage jaa paunga...Dhanyawaad again.
Replyhello sir, mera naam harry hai mai bhi blogging karna chahta hu but iske bare me bahut saari videos dekhne ke baad confused ho gya hu.
Replymain aap se janna chahta hu ki jaise maine blogger par blog bnaya hai to kya ise mai apne adsence se add kar skta hu aur kya domain lena jruri hai kya? please ans. me
ConversionConversion EmoticonEmoticon