iklan banner

Gmail Par Email Account Kaise Banaye Aur Iske Kya Fayde Hai

Gmail Account Banaye Only 2 Minutes Mein

Doston aaj kal email account ek normal si baat hai jyadatar log apna email account rakhate hain. gmail.com ek aisi website jis par aap free mein apna email account bana sakte hain. Gmail.com google ki he ek  service hai jo free mein email account deti hai.
Gamil Account Banaye 2 Minute Mein

E-mail kya hai?

Doston email ka matlab hai electronic-mail…kehne ka matlab bs itna hai ki aap kisi ko bhi online letter ya koi file ek account se dusare account par bhej sakte ho. Isme ek username hota hai aur dusra secret password jo aapne dala hota hai.
Ex- rishabhgupta@gmail.com, gupta.rishabh@india.com

Gmail Account Kaise Banate Hai?

Doston chaliye ab hum aapko gmail.com par email account banana sikhate hain.
Sabse pehle Gmail.com par jaye.
Create an account par click Karen/ sign up par
Ab aapke saamne ek Form open hoga use savdhani se fill Karen.
Gmail Sign Up Form

Image ke anusaar-
  • 1. Name mein aap apna full naam liken.
  • 2. Username mein aap apna mann pasand username likhe jo available ho nahi toh gmail aapko available username sugest karega aap unme se select kar sakte ho. Dhyaan rahe ki ye username aapko hamesha yaad rakhana hai.
  • 3. Ab aap apna mann pasand password dale. Dhyaan rahe ki ye password aapko hamesha yaad rakhana hai. 
  • 4. Phir dobara wahi password dale.
  • 5. Birthdate mein aap apni date of birth dale.
  • 6. Ab aap apna gender dale.
  • 7. Mobile number mein aisa mobile number dale jo hamesha aapke pas rehta ho. Baad mein isi number se aapko apna gmail account verify karna hoga.
  • 8. Your current email address mein aapke pas agar pehle se email id hai toh dale nahi toh isse khali chhod de.
  • 9. Prove u r not a robot par tick Karen.
  • 10. Location mein india dale.
  • 11.  I agree pr tick Karen
  • 12. Ab next button par click Karen
Ab ek naya verify page khulega. Isme aapne jo number daala hai who verify karna hoga.
Verify Account

  • 1. Text message ko select Karen.
  • 2. Voice call ko bhi select ar sakte hai lekin me apse kahunga ki aap text message ko he select Karen.
  • 3. Ab continue butoon par click Karen.
Ab aapke us mobile number(ex. 9719******) par ek secret code aayega jo mobile number aapne daala hoga.
Agra turant code nahi aata hai 15-20 minutes tak wait Karen.
Jab code aa jaaye toh use yaad kar le thodi der ke liye.
Enter Verification Code
  • 1. Ab apna secret code dale.
  • 2. Ab continue button par click Karen.
Ab aapke samne ek naya page open hoga. Ye welcome wala page hoga iska matlab ye hai ki aapka gmail account ban chukka hai.
Welcome Gmail Page
  • 1. Ab get start par click Karen.
Gmail Inbox

Ab aapka gmail account ban chukka hai aur apki email id kuch iss tarah hogi-
aapkausername@gmail.com

Ab aap gmail.com par jakar sign in par click karke apna username aur password daalkar apna gmail account open kar sakte hai aur dusron ko email bhi bhej sakte hai.
Ab me aapko apni agli post mein bataunga ki aap email kaise bheje.

Agar aapko ye post acchi lagi toh doston share jarur Karen.



Previous
Next Post »