iklan banner

Exam Ki Taiyari Kaise Kare - Exam Ki Preparation Kaise Kare एग्जाम की तैयारी कैसे करे

Search For Exam Ki Taiyari Kaise Kare - Exam Ki Preparation Kaise Kare एग्जाम की तैयारी कैसे करे Aur Competition Exam Ki Taiyari Kaise Kare or Pariksha Ki Taiyari Kaise Kare Jane Hindi Me. Dosto Namaskar ek baar phir hajir hua hu ek naya article lekar agar aap ek student hai ya phir ek competitor ya ek teacher hai toh jarur pade humara ye article exam ki taiyari kaise kare ya exam ki preparation kaise kare or pariksha ki taiyari kaise kare aur iski jankari padne wale bachchon ko de jisse unki exam ki preparation full ho jaye ya exam ke liye padhai kaise kare puri jankari.
Exam Ki Taiyari Kaise Kare - Exam Ki Preparation Kaise Kare

Dosto Vidhan Sabha election ka daur chal raha hai aur national board exam se lekar state level board exam bhi ek mahine ke liye postponed kar diye gaye hai. Lekin aapko jankari hogi ki lagbhag sabhi Board exam ki date sheet aa chuki hai aur exam date declare ho chuki hai saath he aapne mera article padhai kaise kare aur padhai karne ke ratike best tips for study jarur pada hoga.
Friends ab aapke pass total about 1 month hai yaani 30 days aur abhi tak aapne sahi se padhai nahi ki toh aise student bilkul bhi ghabraaye/daren nahi kyoki mere dwara bataye gaye step ko follow karke aap in 30 dino mein exam ko fight kar kar sakte hai aur agar aapne puri saal padhai achhe se ki hai toh kya pata aap exam ko board level par top bhi kar le. Isliye pura artcile pade dhyaan se.


Dosto mai ek admin/site owner ke saath saath ek student bhi hun. Aur aapko mai yahan short mein apni story batana chahata hu yaani apni student life ke baare mein. Friends maine 10th maths acience se ki hai aur mai apni class ka one of the topper raha hu kyoki mere town mein 10th tak padhane wale teacher acche hai aur maine 10th 86% ke saath pass ki.
Lekin 11th-12th mein meri padhai disturb ho gayi kyoki maine college change kiya aur mere town mein 12th level ke teacher unn subjects mein perfect nahi the jo subject mere weak the. Iss wajah se meri padhai thodi disturb ho gayi aur kuch meri bhi kami rahi hogi jisse maine apni padhai par dhyaan nahi de paya.

Ab mai aapko wahi tarike aur tips bataunga jo maine 10th ke time follow kiye aur mera uss time kya experience raha. Ye aapko puri detail mein bataunga bas aap pura article pade.

Exam Ki Taiyari Kaise Kare Best Tips


  • 1. Sabse pehle mere dost ye decide karo ki aapke pass first exam paper se lekar ab tak kitne din bache hai.
  • 2. Ab ye confirm karo ki aapka kitne % Syllabus complete ho gaya hai.
  • 3. Jab ye pata kar lo ki kitna aapka syllabus pura ho gaya hai tab uske baad apne mind mein ek baat fix kar lo ki aapko itne syllabus par focus karna hai.
  • 4. Agar aap ab bhi College ya Coaching Center/Tutions jaae hai toh ya toh aap Coaching/Tutions band kar de ya phir jo aap Current mein syllabus pad rahe hai uss par kam dhyaan de. Jo syllabus complete ho chuka hai uss par jyada dhyaan de.
  • 5. Iss time jyadatar Coaching Centers/ Tutions mein Unsolved / Exam Hunt Se Related Books / Practice Papers / Model Papers Solve karaye jate hai. Agar aapke Coaching/Tutions mein ye sab chal raha hai toh inn sab par jyada se jyada dhyaan se kyoki jyadatar Exam Papers mein aane wale question inhe Model Papers se liye jaate hai. 
  • 6. Isliye achha hoga ki aap ghar par bhi jyada se jyada Practice Sets solve kare.
  • 7. Ab dosto aapke syllabus ki baat karte hai. Apne syllabus ko time par pura kaise taiyar kare. Iske liye aapko ek Time Table banani padegi.
  • 8. Ye Time Table Regular ho yaani ek din mein aapko kitne subject aur kitni der padne hai. Iss hisab se banaye ki aap usko follow kar sake.
  • 9. Ye jarur likhe uss time table mein ki aapko kon sa subject kitni der padna hai. Jaise Maths ke liye kam se kam 2 Ghante/Hours hone chahiye kyoki maths practice se aati hai.
  • 10. Yahan mai aapko ek Example deta hai. Maan lo first day sunday hai toh aap morning mein 6:00 A.M. Baje uth gaye. Fresh hone se lekar Breakfast karne tak aapko 8:00 baj gaye. Uske baad aapne Science ko 2 Ghante pada. Ab 10:00 Baj gaye ab aapko 15-20 Minutes ka rest karna chahiye uske baad English ya Hindi Jaise Saubject ko yaad kare isme aapne 1-2 Ghante diye. Maan lo ab 11 ya 12 baj gaye. Ab apne dimak ko kam se kam 1-2 ghante ka rest do. Isi time mein Lunch kar lo. Iske baad Social Science(History/Geography/Economics etc.) aur aage ke time mein apne kuch aur subject fit kar le.
  • 11. Aur iss tarah se Time Table banaye ki aapke bache huye dinon mein aapka sara syllabus fit ho jaye.
  • 12. Dhyaan rahe ek he din mein 2 - 4 subjects ko he pade. Isse jyada subjects ko na pade ho sake toh unhe subjects ko baar-baar pade.
  • 13. Boring feel karne par maths jaise subject ko try kare. Aap chahen toh apne dosto se bhi mile jisse aapko kisi tarah ki negative feeling na aaye.
  • 14. Daren bilkul bhi nahi aur regular padte rahe.
  • 15. Jo bhi Topic samajh na aaye woh aap apne dosto se discuss kare agar phir bhi samajh na aaye toh teacher se discuss kare. Aur Last Words ye bilkul bhi na soche ki puri saal nahi padhai ki toh ab kya fayda toh aapko bata de jo iss time padhai aur exam ki taiyari kar leta hai wahi student confidently exam fight kar pata hai.

Dosto mujhe pata hai aapke mann mein kaafi sawaal aa rahe hai toh unko mann mein na rakhe abhi Google Sign In karke Comment kare mai aapko uska solution dunga.

Tags: exam ki taiyari, civil service ki taiyari kaise kare, pariksha ki tayari essay in hindi, yaad kaise kare, gk for competitive exams in hindi, competition exam ki taiyari kaise kare, ssc-cgl ki taiyari, bank po ki taiyari, exam me pass hone ke totke in hindi.
Previous
Next Post »