iklan banner

Website Banane Ke Liye Kin Kin Cheejo Ki Jarurat Hoti Hai

Dosto aaj kal har koi insaan apni baat social media (jaise Facebook, Twitter, GooglePlus) ke through rakhate hai lekin aap apni baat apne website ke jariye bhi logo tak pahucha sakte hai.
Chaliye aaj hum aapko batate hai ki website banane ke liye kin kin cheejo ki jarurat padti hai aur website banane ke liye kya karna padta hai.(aap pad rahe hai website kaise banaye, website banana hai free, apni website banana hai, new, website kaise banaye, boom bnane ka trika, new wap site banana, google par website banana, website banane ka tarika hindi me myhelplive par.)

Website Banane Ke Liye Kin Kin Cheejo Ki Jarurat Hoti Hai

Website Kyo Banani Chahiye or Iske Fayde Kya Hai

Agar aap chahate hai ki aapka koi online business ho jisse aap paise kama sake toh website banana aapke liye sabse achha option hai aur aap shuruaat sirf kuch paise se he kar sakte hai.
Website banakar aap logo ki help bhi kar sakte hai badle mein aapki popularity he badegi.
(aap pad rahe hai new website kaise banaye, new wap site banana, google par website banana, website banane ka tarika hindi me myhelplive par.)


Website Banane Ke Liye Kya-Kya Chahiye

Topic ya Niche

Dosto sabse pehale ye decide kare ki aapko kis topic ki website chahiye uske baad he aage ka kaam kare. Kyoki apne topic ke hisab se he domain ka naam choose kare jisse visitor ko site par aane mein aasani hoti hai.
Example ke liye humari site ka domain hai MyHelpLive.com jo logo ki help ke liye hai iska matlab ye hai ki meri madad lagatar...

Domain Name

Domain woh hota hai jo aap Browser mein daalkar website ko open karte ho jaise meri website/blog ka domain hai myhelplive.com Ye aapko online kharidana padega. Aap ye Godaddy se le sakte ho kyoki maine bhi godaddy se liya hai. aaj kal godaddy ka ads aapne tv par bahut dekha hoga aur godaddy ki customer service kaafi achhi hai.

Agar aap domain name nahi lena chahate toh aap online free website bana sakte hai. Hpage.com , Weebly.com aisi he kuch sites hain jin par aap free mein website bana sakte ho lekin ye websites apna Subdomain laga deti hai jisse aapki site ki reputation kharab hoti hai.

Yahan mai aapse yahi kahunga ki agar aap online business karna chahate hai toh aap domain jarur kharide.

Hosting

Hosting ek tarah se Memory Card ki tarah maan lijiye jisme aap apni files upload karke uss fie ko download karne ka link paa sakte hai.
Agar aap online business karna chahate ho toh Hosting jarur le ya aap apna blog Wordpress par banana chahate hain toh aapko hosting lena padega aur aap free hosting bhi le sakte hain iske liye aap google par search kar le. Aap Hotsgator se hosting kharid sakte hain ye kaafi popular hosting site hai.
Dosto aapka blog/website Blogger par hai toh aapko hosting lene ki koi jarurat nahi hai.

Aap Free Bhi Website Bana Sakte Hai

Agar aap ke pass financially problem hai aur paiso ki bahut dikkat reahati hai to domain aur hosting kharidane ki koi jarurat nahi hai kyoki aisi bahut si website hai jo free yaani subdomain use karti hai aur unki popularity ka andaja aap kewal unn sites par jakar he laga sakte ho.
Aisi he ek website/Blog hai Helplogger.blogspot.com ye website Blogger platform par bani hai aur kaafi popular bhi hai.

Aaj ke time mein iski earning bhi bahut jyada hai.

Time For Website Updates

Yahan mai aapse kehna chahunga ki website ke liye agar aapke pass time nahi hai toh website na banaye kyoki agar aap website ko update nahi karenge toh aapki site par traffic nahi aayega aur natija yah hoga ki aapko apni site band karni podegi.

Kuch Naya Karna Hamesha Dusaro Se Alag

Aaj ke iss duniya mein pehchan usi ki hoti hai jo bhid se alag khada hota hai toh aapko bhi yahi karna hai hamesha waqt ke saath update raho aur kuch alag karte raho bas kaamyabi aapke pairo par hogi.

Dhairya, Himmat aur Intejaar

Dosto website/blog banate samay mujhe bhi ye laga ki mai successfull hounga ya nahi but maine ye sab ignore kiya aur Bhagwaan par vishwash karke apni site start kar di aur roj naye article likhane laga.
Toh Dhairya banaye rakhe bas traffic aapko apne aap milne lagega.

MyHelpLive Tips: Dosto jab maine website banayi toh mujhe itni bhi jankari nahi thi lekin samay ke saath sab kuch sikh gaya aur abhi bhi sikh raha hu toh aap Dhairya hamesha banaye rakhe aur shuruaat aap Blogger.com par free blog banakar kar sakte hai taaki aap kaafi kuch sikh sake woh bhi free mein.

Agar dosto aapko ye post achhi lagi aur aap website banana sikh gaye toh aap please iss posr ko Facebook, Twitter, Google Plus....etc par share jarur kare taaki koi aur bhi website banana sikh sake.

Tags: (aap pad rahe hai website kaise banaye, website banana hai free, apni website banana hai, new, website kaise banaye, boom bnane ka trika, new wap site banana, google par website banana, website banane ka tarika hindi me myhelplive par.)

Dhanyawaad Aapka Post Padne Ke Liye !
!! Bharat Mata Ki Jay !!
Previous
Next Post »

3 comments

Click here for comments