iklan banner

1 Mobile Me 2 Whatsapp 2 Facebook 2 Twitter Apps Kaise Chalaye (New Tarika)

Aaj iss post ke madhyam se mai aapko batane ja raha hu ki ek mobile me 2 whatsapp kaise chalate hai. Dosto wese toh ye blog/site specially blogging ke liye hai lekin lagatar internet par logon ki demand ko dekhakar maine iss post ko likhane ke baare mein socha aur aapke liye hajir hai ki 1 phone me 2 whatsapp 2 facebook 2 twitter apps kaise chalaye.

2 Whatsapp 2 Facebook 2 Twitter Apps Kaise Chalaye

 Internet par 2 whatsapp chalane ki kaafi tricks available hai but unme se kaafi toh works he nahi karti hai isliye maine iss trick ko test karke he post kiya hai aur ye kaafi safe hai.

2 Whatsapp Chalane Ke Liye Kya Kya Chahiye

Sabse pehle aapke pass ek Android Smartphone hona chahiye jisme Internet connection bhi ho.
Aapke mobile ki RAM kam se kam 1 GB toh ho he kyoki isse Kam RAM mein aapka mobile Hang hone lagega.
(Aap pad rahe hai 1 phone me 2 whatsapp 2 facebook 2 twitter apps kaise chalaye myhelplive par)

Note: Dosto mene ye Androd Mobile mein test kiya hai agar aapke pass Apple iOS hai toh aap isi tarah check karke dekh le ki aapke Apple Mobile mein 2 whatsapp chalte hai ya nahi.

2 Whatsapp 2 Facebook 2 Twitter Kaise Chalaye

Wese toh whatsapp ka single aur facebook, twitter ke kai accounts alag alag Browser mein chala sakte hai but agar aap facebook ya twitter ke 2 Apps chalana chahate hai toh ye post aapke liye he hai.
Chaliye hum aapko batate hai ki har kisi apps ke 2 Apps kaise chalaye.

Phone Me 2 Account Apps Kaise Chalaye

Sabse pehle aapko apne mobile me Parallel Space App download karna hoga.

Parallel Space App Ko Install Kare

Iske liye aapko apne Kisi browser mein Parallel Space search karke uski .apk file download karni hogi aur phir use install karna hoga.

Ya phir aap Google Play Store se bhi aap iss app ko Install kar sakte hain.

Download ka Link - Download Parallel Space App

Install karne ke baad aap isss app ko open kare.

Add Par Click Karke Whatsapp Facebook Twitter Add Kare

Ab Plus (+) ke button par click kare.
Uske baad aapko jo bhi app double chalana hai unn sab ko select karke add kar de.
(Aap pad rahe hai 1 phone me 2 whatsapp 2 facebook 2 twitter apps kaise chalaye myhelplive par)

Ab Uss App par apna new account bana kar use kare.

MyHelpLive: Tips: Dosto iss app ka use tabhi kare jab aapke mobile ki RAM 1 GB se jyada ho nahi to aapka mobile hang hone lagege.
Aap iss tarah se jitne chahen utne app Double use kar sakte hai.

Agar aapko aise he aur Tricks janni hai toh hume subscribe jarur kare aur humare Facebook page ko like kare.
Agar aapko humara ye artcile 1 phone me 2 whatsapp 2 facebook 2 twitter apps kaise chalaye achha laga hai toh apne dosto ke sath jarur share kare.
Agar koi pareshani aaye toh Comment jarur kare.

Humari Post Ko Padne Ke Liye Aapka Dhanyawaad !
Previous
Next Post »