iklan banner

Blog Me Category Widget Kaise Lagaye

Agar aapke blog me category widget pehle se hai toh kaafi achhi baat hai lekin agar nahi hai toh kaafi buri baat hai kyoki isse aapke blog ki traffic bhi badti hai aur category widget logon ko kaafi attract karti hai.
Iski help se log apni mann mutabik post ya article padte hai. Chaliye jane blog me category widget kaise use kare.

Blog Me Category Widget Kaise Lagaye

Kai logon ne mujhe iss baare me pucha isliye aaj mai aapko detail me bata raha hu ki blog me category widget kaise use kare.

Blog Me Category Widget Kaise Add Kare

Sabse pehle aapko Blogger.com par jana hoga.
Uske baad apna Account log in kare.
Ab apne blog ke Dashboard mein jaaye.

1. Layout par click kare.
2. Ab jahan aapko widget lagani hai wahan Add a Gadget par click kare.

Ab ek pop up window open hogi.

Add Link List

Link List ko Add kare.
Ab phir ek nayi pop up window open hogi.

Blogger Category Settings

Ab aapko ye fill karna hai.

  • 1. Title mein aapko Categories likhana hai.
  • 2. Iss box ko khali he rehne de.
  • 3. Isme Don't Sort kar de.
  • 4. Yahan par aapko apni category/label ka naam likhana hai.
  • 5. Ab uss category/label ka url address yahan daale.
  • 6. Add Link par click karke aap bahut saari category/label add kar sakte hai.
  • 7. Aapke dwara banayi gayi category yahan dikhegi aur aap use delete ya edit bhi kar sakte hai.
  • 8. Sabse last mein Save kar de.


Ab aapki Template mein category/label show hone lagegi.
Aur kuch iss tarah aapki template dikhegi.

Blog Category Sample

Dekha kitna simple hai blog mein category lagana.

MyHelpLive Tips: Dosto apne blog mein top category he show kare kyoki jyada category lagane se visitor confuse ho jaate hai aur aapke blog ko ignore karke dusare blog ko visit karne lagte hai. Jyada category ke liye ek aur Tags ke naam se widget lagaye issi tarah se.

Agar koi problem aaye toh hume Comment karke jarur bataye aur iss post ko apne dosto ke saath share karna na bhule.

Humari Post Ko Padne Ke Liye Aapka Dhanyawaad !
Previous
Next Post »

6 comments

Click here for comments
November 11, 2016 at 9:38 PM ×

Bhot hi accha Jankari share kiya hai aapne nice a article

Reply
avatar
November 11, 2016 at 9:39 PM ×

Bhot hi accha Jankari share kiya hai aapne nice a article

Reply
avatar
Funn2post
admin
November 25, 2016 at 10:26 PM ×

Category nhi lag raha try to kiya mene

Reply
avatar
Unknown
admin
November 26, 2016 at 8:44 AM ×

Thanks nd Keep Visiting www.MyhelpLive.com

Reply
avatar
Unknown
admin
December 4, 2016 at 7:18 AM ×

@Nareh Detruja Ji Thank u & keep visiting www.myhelplive.com

Reply
avatar
Unknown
admin
December 4, 2016 at 7:19 AM ×

@funn2post ji kya problem aa rahi hai thoda detail se bataye.

Reply
avatar